ek jogī apas ke jog sañg
nā auroñ sā dev bhog ke sañg
mil piv se paak apne ghar meñ
islām bhī kufr le ke har meñ
rahtā thā sadā alak nirañkār
nā piir apas ke kufr ke Thaar
nā aur tarīq meñ rakhe paañv
nā jaan sivā kahīñ use Thāñv
chand roz thā is faqīr sañg
do-rañgī ko chhoḌ ho ke yak sañg
ek roz kā ittifāq aisā
jañgal meñ Thanā thā shab baserā
dono hī thake hue qadam ke
Thas khaa.e hue apas ke dam ke
us dasht meñ saarī raat baare
kuchh jāgte sote shab guzāre
par jogī yoñ hī rahā thā baiThā
apas ke thā piv man meñ baiThā
jab raat akhanD dopahar huī
tab mujh meñ ye baat kī guzar huī
yuuñ pūchh uThā ai pyāre jogī
ai jaan ke man-mohan ke bhogī
kis haal meñ ho ḳhāmosh baiThe
kis baat ke aap haiñ ke dar pai
sunte hī ye baat sar uchāyā
ye bol mere ko kah sunāyā
gurū maiñ ajab ḳhayāl meñ thā
yuuñ jaan se ḳhīl-o-ḳhāl meñ thā
ai jaan tū kaun hai mujhe kah
yā ḳhaak hai pavan hai mujhe kah
yā aag hai or yā hai paanī
batlā de mere ko tujh nishānī
kis shakl meñ kis libās meñ hai
yā dhartī meñ yā akāsh meñ hai
paidā kiyā kaun hai tere ko
jo bhed terā hai kah mere ko
jab mujh ko diyā javāb yo jiiv
maiñ jiiv huuñ bha.ī har-ek kā piiv
maiñ vo huuñ ke aap hī aap meñ huuñ
firā.ūn sā maiñ ye maiñ nahīñ huuñ
nā ḳhaak huuñ baad huuñ na paanī
nā aag huuñ nā koī nishānī
nā kis ne kiyā mere kuuñ paidā
maiñ aap se aap huuñ huvaidā
hai bhed merā mere meñ māmūr
na kis ko ye bhed paane ma.azūr
kul chitr ke maiñ libās meñ huuñ
har phuul meñ phuul baas meñ huuñ
nāpākī maiñ nahīñ paakī maiñ huuñ
nūr-e-man bhī maiñ huuñ ḳhākī maiñ huuñ
ye kaun sivā mere haiñ ḳhālī
hai donoñ-jahāñ muj haat thālī
har jism ko jiiv hai yahī jiiv
ushshāq ko piiv hai yahī jiiv
al-qissa ye bāteñ hote hote
ham donoñ duī ko khote khote
itne meñ ḳhurūs baag hāñkā
sādiq kā shafaq falak pe phāñkā
paḌh salāt-o-farz ko guzar ke
raahī hue apne rah-guzar ke
ek jogi apas ke jog sang
na auron sa dew bhog ke sang
mil piw se pak apne ghar mein
islam bhi kufr le ke har mein
rahta tha sada alak nirankar
na pir apas ke kufr ke Thaar
na aur tariq mein rakhe panw
na jaan siwa kahin use Thanw
chand roz tha is faqir sang
do-rangi ko chhoD ho ke yak sang
ek roz ka ittifaq aisa
jangal mein Thana tha shab basera
dono hi thake hue qadam ke
Thas khae hue apas ke dam ke
us dasht mein sari raat bare
kuchh jagte sote shab guzare
par jogi yon hi raha tha baiTha
apas ke tha piw man mein baiTha
jab raat akhanD dopahar hui
tab mujh mein ye baat ki guzar hui
yun puchh uTha ai pyare jogi
ai jaan ke man-mohan ke bhogi
kis haal mein ho KHamosh baiThe
kis baat ke aap hain ke dar pai
sunte hi ye baat sar uchaya
ye bol mere ko kah sunaya
guru main ajab KHayal mein tha
yun jaan se KHil-o-KHal mein tha
ai jaan tu kaun hai mujhe kah
ya KHak hai pawan hai mujhe kah
ya aag hai or ya hai pani
batla de mere ko tujh nishani
kis shakl mein kis libas mein hai
ya dharti mein ya akash mein hai
paida kiya kaun hai tere ko
jo bhed tera hai kah mere ko
jab mujh ko diya jawab yo jiw
main jiw hun bhai har-ek ka piw
main wo hun ke aap hi aap mein hun
firaun sa main ye main nahin hun
na KHak hun baad hun na pani
na aag hun na koi nishani
na kis ne kiya mere kun paida
main aap se aap hun huwaida
hai bhed mera mere mein mamur
na kis ko ye bhed pane mazur
kul chitr ke main libas mein hun
har phul mein phul bas mein hun
napaki main nahin paki main hun
nur-e-man bhi main hun KHaki main hun
ye kaun siwa mere hain KHali
hai donon-jahan muj hat thaali
har jism ko jiw hai yahi jiw
ushshaq ko piw hai yahi jiw
al-qissa ye baaten hote hote
hum donon dui ko khote khote
itne mein KHurus bag hanka
sadiq ka shafaq falak pe phanka
paDh salat-o-farz ko guzar ke
rahi hue apne rah-guzar ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.