Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sawal-e-tabil

Shah Miyan Turab Dakni

sawal-e-tabil

Shah Miyan Turab Dakni

MORE BYShah Miyan Turab Dakni

    gurū-jī o sukchham kuchh bhed pā.ūñ

    tumāre charan ke to balihār jā.ūñ

    maiñ astut tumārā to kaañ lag sarā.ūñ

    dayāvant daatā tumhārā hai naañv

    mere pinD sab batā dev Thaav

    javāb

    jo likhne suuñ nuqta bhaar aayā

    o sukchham ard-mātra kalāyā

    tuuñ meñ pinD meñ yuuñ ke maatā meñ jaayā

    vahāñ yahāñ sukchham naam paayā

    huā jamā panch-bhuī saarā maayā

    ahañkār hañk chau-pher maayā

    parashn

    gurū-jī mūl-ādhār bhed bolo

    mere pinD ke vistār bhed bolo

    o shai hor parastār bhed bolo

    bha.e anhad huñkār bhed bolo

    javāb

    gudasthān o dhārā chakr chaturdal

    rakt varna hor dev bal

    o hai siddhī merā fazl

    yahī lo sakal savāl us asthal

    hai ādhār-chakr band chaar añgul

    so istadā hai kamal

    guru-ji o sukchham ka kuchh bhed paun

    tumare charan ke to balihaar jaun

    main astut tumara to kan lag saraun

    dayawant data tumhaara hai nanw

    mere pinD ka sab bata dew Thaw

    jawab

    jo likhne sun nuqta bhaar aaya

    o hi sukchham ard-matra kalaya

    tun mein pinD mein yun ke mata mein jaya

    wahan su yahan sukchham nam paya

    hua jama panch-bhui ka sara maya

    ahankar ka hank chau-pher maya

    parashn

    guru-ji mul-adhaar ka bhed bolo

    mere pinD ke wistar ka bhed bolo

    o shai hor parastar ka bhed bolo

    bhae anhad ki hunkar ka bhed bolo

    jawab

    gudasthan o dhaara chakr chaturdal

    rakt warna hor dew ka bal

    o hai siddhi mera fazl

    yahi ji lo sakal sawal us asthal

    hai aadhaar-chakr band chaar angul

    so istada hai kamal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now