Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tarjuma rasail

Unknown

tarjuma rasail

Unknown

MORE BYUnknown

    jo koī us kuuñ paave to sāhab-e-kamāl

    usī kuuñ hai har-dam piyā visāl

    saraj kar illā allāh ke kuchh to bol

    apas piir kāmil kar isrār khol

    pichāno vo kyā hai magtāpnā

    jo koī dekhtā so use dekhnā

    uuhī dekhne hai sūrat siyā

    gaz sab jagat usī se huā

    siyāhī o kyā hai kar le qayās

    jise tuj o sūrat vise ās-pās

    o sūrat ba-ma.ane munavvar aziiz

    ilm to kar le o kara.ī tamīz

    ilm jis kuuñ kahte so kaalā ahe

    usī jagat par ujālā ahe

    sarajnā samajhnā siyāhī kuuñ mushkil hai jaan

    use ahadiyat ham kahte pachhān

    nahīñ thī ilm vahāñ kuchh tamīz

    o ijmāle vahdat meñ paayā aziiz

    kiyā vahdiyat meñ tafsīl jab

    hai sātoñ vajūdoñ se rab

    o sātoñ vajūdoñ ko jānoñ zarūr

    usī suuñ visī jo kal zuhūr

    jo koi us kun pawe to sahab-e-kamal

    usi kun hai har-dam piya ka visal

    saraj kar illa allah ke kuchh to bol

    apas pir kaamil kar israr khol

    pichano wo kya hai magtapna

    jo koi dekhta so use dekhna

    uhi dekhne ki hai surat siya

    gaz sab jagat ka usi se hua

    siyahi o kya hai tu kar le qayas

    jise tuj o surat wise aas-pas

    o surat ba-mane munawwar aziz

    ilm hi to kar le o karai tamiz

    ilm jis kun kahte so kala ahe

    usi ka jagat par ujala ahe

    sarajna samajhna siyahi kun mushkil hai jaan

    use ahadiyat hum kahte pachhan

    nahin thi ilm ku wahan kuchh tamiz

    o ijmale wahdat mein paya aziz

    kiya wahdiyat mein tafsil jab

    hai saton wajudon se rab

    o saton wajudon ko jaanon zarur

    usi sun wisi ka jo kal ka zuhur

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now