Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dil mein sadha KHwahishen ji mein lakh arman

Tufail Hoshiarpuri

dil mein sadha KHwahishen ji mein lakh arman

Tufail Hoshiarpuri

MORE BYTufail Hoshiarpuri

    dil meñ sad.hā ḳhvāhisheñ meñ laakh armān

    duniyā meñ sukh kis tarah paa.e aaj insān

    daulat-mand raaj hai daulat-mand tej

    bin daulat ke zindagī kāñToñ hai sej

    dhoke se daulat mile jhūTh chaḌhe parvān

    sachchā.ī ho gayā duniyā meñ fuqdān

    aaj paap ke peḌ meñ phuul aa.eñ aur phal

    mil gayā gir kar ḳhaak meñ dharm tāj-mahal

    jaane 'adl ko kyā huā gayā kahāñ insāf

    qātil ko har jurm se daulat kare muaaf

    daulat paa.e mimbarī daulat bane vazīr

    pighle zar aañch se lohe zanjīr

    aaj ke insāñ huā yuuñ kamzor īmān

    qasmeñ khāne ke liye rah gayā hai qur.ān

    daulat ho to niich bhī aaj uttam kahlā.e

    ūñchā banñe ke liye ūñche mahal banā.e

    duniyā aise huā daulat se sanjog

    daulat ko rab kaheñ is duniyā ke log

    daulat se shaan hai daulat se aan

    daulat hai is daur meñ 'izzat pahchān

    daulat dastūr hai daulat qānūn

    daulat ke sailāb meñ bah jaatā hai ḳhuun

    sāchī baat hai dosto rakhnā hameñ muaaf

    daulat naam hai is jag meñ insāf

    sikka daulat chale duniyā meñ din raat

    nirdhan is daur meñ koī na pūchhe baat

    dil mein sadha KHwahishen ji mein lakh arman

    duniya mein sukh kis tarah pae aaj insan

    daulat-mand ka raj hai daulat-mand ka tej

    bin daulat ke zindagi kanTon ki hai sej

    dhoke se daulat mile jhuTh chaDhe parwan

    sachchai ka ho gaya duniya mein fuqdan

    aaj pap ke peD mein phul aaen aur phal

    mil gaya gir kar KHak mein dharm ka taj-mahal

    jaane 'adl ko kya hua gaya kahan insaf

    qatil ko har jurm se daulat kare muaf

    daulat pae mimbari daulat bane wazir

    pighle zar ki aanch se lohe ki zanjir

    aaj ke insan ka hua yun kamzor iman

    qasmen khane ke liye rah gaya hai quran

    daulat ho to nich bhi aaj uttam kahlae

    uncha banne ke liye unche mahal banae

    duniya ka aise hua daulat se sanjog

    daulat hi ko rab kahen is duniya ke log

    daulat hi se shan hai daulat hi se aan

    daulat hai is daur mein 'izzat ki pahchan

    daulat hi dastur hai daulat hi qanun

    daulat ke sailab mein bah jata hai KHun

    sachi baat hai dosto rakhna hamein muaf

    daulat hi ka nam hai is jag mein insaf

    sikka daulat ka chale duniya mein din raat

    nirdhan ki is daur mein koi na puchhe baat

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now