Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

sahib ji sultan ji tum baDe garib-nawaj

Unknown

sahib ji sultan ji tum baDe garib-nawaj

Unknown

MORE BYUnknown

    sāhib sultān tum baḌe garīb-nāvāj

    apnā kar ke rākhiyo so haath gahe laaj

    jā.ūñ tore naam par ḳhvāja balihār

    aan phañsā mañjdhār meñ beḌā kar do paar

    ḳhvāja tore kārane bhirī maiñ des bides

    añg bhabūt ramā.ike kiino jogin bhes

    sayyāñ tere ruuTh maiñ aadar kar ke na koī

    dur durr kareñ saheliyāñ maiñ muḌ muḌ dekhūñ toī

    had had karte sab ga.e be-had gayā na koy

    be-had ke maidān meñ rahe kabīrā soye

    ye kuttā dar-dar phire aur dar-dar dur-dur hue

    ek dar ho rahe to dur-dur kare na koy

    aa.ī thī jis baat ko bhuul ga.ī vo baat

    kyā muñh dikhā.ūñ piyo ko donoñ ḳhālī haath

    marnā re mar jā.iye mariye har ke baar

    kabhū to har pūchan ga.e kaun paḌā darbār

    sahib ji sultan ji tum baDe garib-nawaj

    apna kar ke rakhiyo so hath gahe ki laj

    jaun tore nam par KHwaja ji balihaar

    aan phansa manjdhaar mein beDa kar do par

    KHwaja tore karane bhiri main des bides

    ang bhabut ramaike kino jogin bhes

    sayyan tere ruTh main aadar kar ke na koi

    dur durr karen saheliyan main muD muD dekhun toi

    had had karte sab gae be-had gaya na koy

    be-had ke maidan mein rahe kabira soye

    ye kutta dar-dar phire aur dar-dar dur-dur hue

    ek hi dar ka ho rahe to dur-dur kare na koy

    aai thi jis baat ko bhul gai wo baat

    kya munh dikhaun piyo ko donon KHali hath

    marna re mar jaiye mariye har ke bar

    kabhu to har puchan hi gae kaun paDa darbar

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now