Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

le chalii.n aaj sakhii KHvaaja ke dar par gaagar

Tasadduq Ali Asad

le chalii.n aaj sakhii KHvaaja ke dar par gaagar

Tasadduq Ali Asad

MORE BYTasadduq Ali Asad

    le chalii.n aaj sakhii KHvaaja ke dar par gaagar

    ek ko sar pe rakhii ek kamar par gaagar

    baa-KHushuu.a aur kHuzuu’ ab mohabbat se bharuu.n

    shauq-e-vahdat me.n chaluu.n sar pe uThaa kar gaagar

    qand-e-ikHlaas ghulii kev.Daa-e-'ijs pa.Daa

    ek se ek banii behtar-o-bartar gaagar

    aatish-e-'ishq se jab hai ye miraa dil raushan

    jaam-e-jam se na ho kyuu.n apnii fuzuu.n tar gaagar

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now