ab chaar dino.n kii chhuTTii hai aur un se jaa kar milnaa hai

Hasrat Jaipuri
MORE BYHasrat Jaipuri
Interesting Fact
فلم : آس کا پنچھی۔
zamii.n kaaGaz kii ban jaa.e samundar raushnaa.ii kaa
bayaa.n phir bhii na hogaa ham se ye qissa judaa.ii kaa
ab chaar dino.n kii chhuTTii hai aur un se jaa kar milnaa hai
jis maa.ng ne dil ko maa.ng liyaa us maa.ng me.n taare bharnaa hai
ab chaar dino.n kii ...
dil apnaa abhii se dha.Dke hai dekhe.nge unhe.n to kyaa hogaa
ham hosh bhii apne kho de.nge mastii se bharaa jalva hogaa
vo saamne ho.n phir aa.e mazaa kuchh kahnaa hai kuchh sun.naa hai
ab chaar dino.n kii ...
vo bhii to hamaarii raaho.n me.n zulfo.n ko sa.nvaare aa.e.nge
aur phuul chamelii ke gajre KHush ho ke hame.n pahnaa.e.nge
ab chaa.nd kii tarh chamaknaa hai suuraj kii tarah nikalnaa hai
ab chaar dino.n kii ...
aa.nkho.n me.n javaa.n shikve ho.nge ho.nTo.n pe ha.nsii lahraa.egii
saagar se milegii jab nadiyaa tuufaan pe raunaq aa.egii
ab baadal ban kar barasnaa hai maujo.n kii tarah se ubharnaa hai
ab chaar dino.n kii ...
vo ham se kahe.nge sharmaa ke pardes ga.e the kyaa laa.e
ham un se kahe.nge jaan-e-jaa.n dil apnaa bachaa kar le aa.e
ab aa.nkh milaa.o baat karo ham saamne hai.n kyaa parda hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.