ra.ng do ra.ng do chu.ndariyaa hamaarii
ra.ng do ra.ng do chu.ndariyaa hamaarii
dekho haalat saa.nvariyaa hamaarii
sab 'umr apnii ham ne to yuu.n hii tabaah kii
ab sar pe le ke jaate hai.n gaThariyaa gunaah kii
haaye biitii 'umariyaa hamaarii
mohtaaj hai.n Gariib hai.n bekas hai.n ai huzuur
kab tak rahe.n ham aap ke qadmo.n se duur duur
kabhii liijo khabariyaa hamaarii
jis Dha.ng se ho yaar se milnaa hii KHuub hai
is Gam-kade me.n rahne se chalnaa hai kHuub hai
chhaa.nDo chhaa.nDo Dagriyaa hamaarii
ummiid dil-e-zaar kii bar aa.e KHudaayaa
tanhaa.ii me.n vo but kahii.n mil jaa.e KHudaayaa
aa.o aa.o nagariyaa hamaarii
ai 'hilm' mujh ko log samajhte hai.n aur kuchh
suurat me.n aur kuchh huu.n pe maa'nii me.n aur kuchh
kaun jaane khaddariyaa hamaarii

- Book : Peet Ki Reet (Pg. 81)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.