sun paa.ii bhanak tore aavan kii darvaajvaa ko kab se tak rahii

Hilm Aaghai Abulolai
MORE BYHilm Aaghai Abulolai
sun paa.ii bhanak tore aavan kii darvaajvaa ko kab se tak rahii
jab tuu na dasaa jab tuu na milaa mai.n byaahii na byaahii ek hu.ii
bairan sautan taa'n karat hai kaise karuu.n mai.n kaise karuu.n
apne me.n dhartii mo.n ko sambhaale jiine se ab mai.n baaz rahii
'hilm' ko jo dukh deve piyaa sukh hai sukh hai sukh hai sukh
kuchh kah na sakii par itnaa kahii jo thaari khushii so mahaarii khushii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.