Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHvaaja torii suurat pe mai.n vaarii

Sanjar Ghazipuri

KHvaaja torii suurat pe mai.n vaarii

Sanjar Ghazipuri

MORE BYSanjar Ghazipuri

    KHvaaja torii suurat pe mai.n vaarii

    KHvaaja tu hai sajat sardaarii

    jaa.uu.n bal-bal mai.n sau vaarii

    chhab hai nyaarii suuratiyaa hai pyaarii

    KHvaaja torii suurat pe mai.n vaarii

    bilak rovat hai dukhiyaa tihaarii

    sudh-budh birhaa ne saarii bisaarii

    aas moko hai saiyaa.n tihaarii

    KHvaaja torii suurat pe mai.n vaarii

    nuurii prem adaa pe mai.n vaarii

    tuu ne aisii najar mohe maarii

    dil pe chitvan laagii kaTaarii

    KHvaaja torii suurat pe mai.n vaarii

    kab se tore dvaar rahii huu.n Thaarii

    suno morii arj ai bihaarii

    lehuu kab tum khabariyaa hamaarii

    KHvaaja torii suurat pe mai.n vaarii

    'sanjar' birhaa agan huu.n maarii

    apne KHvaaja huu.n dukhiyaarii

    kab dekhe.n suuratiyaa vo pyaarii

    KHvaaja torii suurat pe mai.n vaarii

    KHvaaja torii suurat pe mai.n vaarii

    KHvaaja tu hai sajat sardaarii

    jaa.uu.n bal-bal mai.n sau vaarii

    chhab hai nyaarii suuratiyaa hai pyaarii

    KHvaaja torii suurat pe mai.n vaarii

    bilak rovat hai dukhiyaa tihaarii

    sudh-budh birhaa ne saarii bisaarii

    aas moko hai saiyaa.n tihaarii

    KHvaaja torii suurat pe mai.n vaarii

    nuurii prem adaa pe mai.n vaarii

    tuu ne aisii najar mohe maarii

    dil pe chitvan laagii kaTaarii

    KHvaaja torii suurat pe mai.n vaarii

    kab se tore dvaar rahii huu.n Thaarii

    suno morii arj ai bihaarii

    lehuu kab tum khabariyaa hamaarii

    KHvaaja torii suurat pe mai.n vaarii

    'sanjar' birhaa agan huu.n maarii

    apne KHvaaja huu.n dukhiyaarii

    kab dekhe.n suuratiyaa vo pyaarii

    KHvaaja torii suurat pe mai.n vaarii

    Source :
    • Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 29)
    • Author : Sanjar Ghazipuri
    • Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now