Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

allaah ye adaa kaisii hai in hasiino.n me.n

Majrooh Sultanpuri

allaah ye adaa kaisii hai in hasiino.n me.n

Majrooh Sultanpuri

MORE BYMajrooh Sultanpuri

    allaah ye adaa kaisii hai in hasiino.n me.n

    aahe.n bhar-bhar ke iltijaa kar ke

    ham ne dekhaa hai ye hai.n patthar kar ke

    ruuThe.n pal me.n na maane mahiino.n me.n

    allaah ye adaa kaisii hai un hasiino.n me.n

    chaahe.n bhii ham to un ko zaalim kahaa naa jaa.e

    shikva hai un se dil ko ki jin ko dekhe se pyaar aa.e

    chamak aa.nkho.n me.n hai sitaaro.n kii

    chhaa.nv mukh.De pe hai bahaaro.n kii

    bas dil hii nahii.n un ke siino.n me.n

    allaah ye adaa kaisii hai un hasiino.n me.n

    chaahat me.n chiiz kyaa hai ye ra.ng ye javaanii

    un par luTaane vaale luTaa.e baiThe hai.n zindagaanii

    chaahe raazii ye rahe.n phir bhii

    saarii mahfil me.n vo to hai phir bhii

    KHuubsuurat hazaaro.n hasiino.n me.n

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Lata Mangeshkar

    Lata Mangeshkar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now