mujh bekas ko tore charan kii hai aas re KHvaaja

nainaa lagaa.e bha.ii mai.n dukhiyaarii
piit na aa.ii raas re KHvaaja

birhaa diivaanii hu.ii piit kii maarii
ab to bulaale moy paas re KHvaaja

ra.ng toraa har jaa rachat hai
phuulan phuulan paas re KHvaaja

apnii joganiyaa pe kirpaa kar de
kab tak re banvaas re KHvaaja

har har ghaT me.n toraa re panghaT
kis par thaa paryaas re KHvaaja

'sanjar' bichaare ko ko.u na puuchhe
raakhat hai torii aas re KHvaaja

- Book : Diwan-e-Sanjar Al-Maruf Guldasta-e-Kalam-e-Sanjar (Pg. 28)
- Author : Sanjar Ghazipuri
- Publication : Shaikh Ghulam Hsuain and Sons Tajiran-e-Kutub, Kashmiri Bazar, Lahaur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.