chalii sakhii paniyaa bharan ko chalii
chalii sakhii paniyaa bharan ko chalii
sar pe gaagariyaa naino.n me.n saa.nvariyaa chalii sakhii
sub.h kaa vaqt hai saavan kii ghaTaa chhaa.ii hai
nau-bahaaro.n kii gha.Dii ban ke dulhan aa.ii hai
apne gaagar me.n tere pyaar kaa jal bhar luu.ngii
aadhe ghanTe kaa safar hai ye safar kar luu.ngii
zevar-e-husn se aaraasta hai suurat merii
dil ke armaano.n ko rahtii hai zaruurat terii
raqs kartii hu.ii paiGaam-e-nazaaraa le kar
tere diidaar kaa panghaT par sahaaraa le kar

chal ke panghaT pe alag pyaar kii do baat karuu.n
jal bharan hii ke bahaane se mulaaqaat karuu.n
chhe.D-KHaani naa kaaro naaz-navelii huu.n mai.n
saheliyo saheliyo jaane bhii do rasta chho.Do
chho.Do chho.Do mere malmal kaa dupaTTa chho.Do
zulf suljhii hu.ii ho.nTo.n pe tabassum kii jhalak
pyaar kaa haar gale paa.nv me.n paa.el kii jhanak

lab-e-jamunaa pe mohabbat ke giit gaa.uu.ngii
apne jazbaat se baalam ko khii.nch laa.uu.ngii
nazar nazar se milegii to muskuraa.uu.ngii
uja.D chukii hai jo duniyaa use basaa.u.ngii
diyaa ummiid kaa ghar aake mai.n jalaa.uu.ngii
qadam qadam pe mohabbat ke phuul u.Daa.uu.ngii
isii sabab se sola-si.ngaar kartii huu.n
baat kahne kii nahii.n un se pyaar kartii huu.n

mere qaraar ko baalam ke pyaar ne luuTaa
sukuun chhiin liyaa intizaar ne luuTaa
mai.n ek Dol naa khii.nchuu.ngii un ke aane tak
naa ghar ko lauT ke jaa.uu.ngii un ke aane tak
qadam qadam pe chaluu.ngii vo chaal mastaanii
zamaana dekh ke bole chalii vo diivaanii
uThaa uThaa ke nazar aah dekhte ho.nge
mai.n jaa rahii huu.n mirii raah dekhte ho.nge
balaa se jaana pa.De duur duur jaa.uu.ngii
mujhe to jaana hai 'naazaa.n' zaruur jaa.uu.ngii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.