terii mahfil me.n qismat aazmaa kar ham bhii dekhe.nge

Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
terii mahfil me.n qismat aazmaa kar ham bhii dekhe.nge
gha.Dii-bhar ko tere nazdiik aa kar ham bhii dekhe.nge
tire qadmo.n pe apnaa sar jhukaa kar ham bhii dekhe.nge
bahaare.n aaj paiGaam-e-mohabbat le kar aa.ii hai.n
ba.Dii muddat me.n ummiido.n kii kaliyaa.n muskuraa.ii hai.n
Gam-e-dil se zaraa daaman bachaa kar ham bhii dekhe.nge
agar dil Gam se KHaalii ho to jiine kaa mazaa kyaa hai
na ho KHuun-e-jigar to ashk piine kaa mazaa kyaa hai
mohabbat me.n zaraa aa.nsuu bahaa kar ham bhii dekhe.nge
mohabbat karne vaalo.n kaa hai bas itnaa hii afsaana
ta.Dapnaa chupke-chupke aah bharnaa ghuT ke mar jaanaa
kisii din ye tamaashaa muskuraa kar ham bhii dekhe.nge
mohabbat ham ne maanaa zindagii barbaad kartii hai
ye kyaa kam hai ki mar jaane pe duniyaa yaad kartii hai
kisii ke 'ishq me.n duniyaa luTaa kar ham bhii dekhe.nge

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.