Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye dil kii lagii kam kyaa hogii ye 'ishq bhalaa kam kyaa hogaa

Shakeel Badayuni

MORE BYShakeel Badayuni

    ye dil kii lagii kam kyaa hogii ye 'ishq bhalaa kam kyaa hogaa

    jab raat hai.n aisii matvaalii phir sub.h kaa 'aalam kyaa hogaa

    naGmo.n se barastii hai.n mastii chhalke hai.n KHushii ke paimaane

    aaj aisii bahaare aa.ii hai.n kal din me.n bane.nge afsaane

    ab is se ziyaada aur hasiin ye pyaar kaa mausam kyaa hogaa

    ye aaj kaa ra.ng aur ye mahfil dil bhii hai.n yahaa.n dildaar bhii hai.n

    aa.nkho.n mai.n qayaamat ke jalve siine me.n ta.Daptaa pyaar bhii hai.n

    is ra.ng me.n ko.ii jii le agar marne kaa use Gam kyaa hogaa

    haalat hai.n 'ajab diivaano.n kii ab KHair nahii.n parvaano.n kii

    anjaam-e-mohabbat kyaa kahiye le ba.Dhne lagii armaano.n kii

    aise me.n jo paa.el TuuT ga.ii phir aa.ii mere hamdam kyaa hogaa

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Lata Mangeshkar

    Lata Mangeshkar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now