sharmaa ke ye kyuu.n sab parda-nashii.n aa.nchal ko sa.nvaaraa karte hai.n

Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
sharmaa ke ye kyuu.n sab parda-nashii.n aa.nchal ko sa.nvaaraa karte hai.n
kuchh aisii nazar vaale bhii hai.n jo chhup-chhup ke nazaaraa karte hai.n
be-taab nigaaho.n se kah do jalvo.n se ulajhnaa Thiik nahii.n
ye naaz-o-adaa ke matvaale be-maut bhii maaraa karte hai.n
ko.ii na hasiino.n ko puuchhe duniyaa me.n na ho gar dil vaale
ye husn kii 'izzat rakhne ko har zulm gavaaraa karte hai.n
chhe.De.n na mohabbat ke maare un chaa.nd sii suurat vaalo.n ko
ye shauq-e-nazar ke KHanjar bhii siine me.n utaaraa karte hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.