chale.nge tiir jab dil par to armaano.n kaa kyaa hogaa

Shakeel Badayuni
MORE BYShakeel Badayuni
dil kaa afsaanaa sunte hai.n sunaane vaale
kaash samjhe naa mohabbat ko miTaane vaale
pyaar kaa naam bhii lete hu.e Dar lagtaa hai
tiir khii.nche hu.e baiThe hai.n zamaane vaale
chale.nge tiir jab dil par to armaano.n kaa kyaa hogaa
luuTegaa ghar to phir us ghar ke mehmaano.n kaa kyaa hogaa
sunaa hai 'ishq me.n aate hai.n din aaho.n ke naalo.n ke
abhii tak to salaamat hai.n garebaa.n 'ishq vaalo.n ke
agar fasl-e-bahaar aa.ii to diivaano.n kaa kyaa hogaa
uThaa hai.n shor-e-maatam sham'-e-tiira jaa.n-nisaaro.n me.n
abhii to dil hii jalte hai.n mohabbat ke sharaaro.n me.n
kisii ne par jalaa Daale to parvaano.n kaa kyaa hogaa
adhuure hai.n abhii puure nahii.n qisse mohabbat ke
abhii to dil me.n poshiida hai afsaane qayaamat ke
haqiiqat ho ga.ii zaahir to afsaano.n kaa kyaa hogaa
sunaa hai jaam ulfat me.n balaa kaa josh hai.n saaqii
abhii to dil hai.n qaabuu me.n abhii to hosh hai.n baaqii
agar pii kar bahak uTThe to mastaano.n kaa kyaa hogaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.