Sufinama

añdhere lakh chhā jaeñ ujālā kam nahīñ hotā

Fana Bulandshahri

añdhere lakh chhā jaeñ ujālā kam nahīñ hotā

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    añdhere laakh chhā jaa.eñ ujālā kam nahīñ hotā

    charāġh-e-ārzū jal kar kabhī maddham nahīñ hotā

    masīhā vo na hoñ to dard-e-ulfat kam nahīñ hotā

    ye zaḳhm-e-ishq hai is zaḳhm marham nahīñ hotā

    ġham-e-jānāñ ko jān-e-jāñ banā le dekh dīvāne

    ġham-e-jānāñ se baḌh kar aur koī ġham nahīñ hotā

    talab ban kar mirī har dam vo mere saath rahte haiñ

    kabhī tanhā mirī tanhā.ī aalam nahīñ hotā

    tumhārā āstāna chhoḌ kar āḳhir kahāñ jā.ūñ

    diyā hai dard-e-dil tum ne vo dil se kam nahīñ hotā

    mirā tan-man jalā kar ne zālim ḳhaak kar Daalā

    magar ai soz-e-ulfat terā sho.ala kam nahīñ hotā

    tere dar se mujhe itnī mohabbat ho ga.ī jānāñ

    tire dar ke alāva sar kahīñ bhī ḳham nahīñ hotā

    badaltī nahīñ qismat mohabbat karne vāloñ

    tasavvur yaar jab tak 'fanā' paiham nahīñ hotā

    samajh liije ki jazb-e-dil meñ hai koī kamī baaqī

    agar dīdār un ishq meñ har dam nahīñ hotā

    añdhere lakh chhā jaeñ ujālā kam nahīñ hotā

    charāġh-e-ārzū jal kar kabhī maddham nahīñ hotā

    masīhā wo na hoñ to dard-e-ulfat kam nahīñ hotā

    ye zaḳhm-e-ishq hai is zaḳhm marham nahīñ hotā

    ġham-e-jānāñ ko jān-e-jāñ banā le dekh dīwāne

    ġham-e-jānāñ se baḌh kar aur koī ġham nahīñ hotā

    talab ban kar mirī har dam wo mere sath rahte haiñ

    kabhī tanhā mirī tanhāī aalam nahīñ hotā

    tumhārā āstāna chhoḌ kar āḳhir kahāñ jāūñ

    diyā hai dard-e-dil tum ne wo dil se kam nahīñ hotā

    mirā tan-man jalā kar ne zālim ḳhak kar Dalā

    magar ai soz-e-ulfat terā shoala kam nahīñ hotā

    tere dar se mujhe itnī mohabbat ho gaī jānāñ

    tere dar ke alāwa sar kahīñ bhī ḳham nahīñ hotā

    badaltī nahīñ qismat mohabbat karne wāloñ

    tasawwur yar jab tak 'fanā' paiham nahīñ hotā

    samajh lije ki jazb-e-dil meñ hai koī kamī baqī

    agar dīdār un ishq meñ har dam nahīñ hotā

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now