Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aa ke mere ghar se jab wo mahfil-ara phir gaya

Kishan Singh Arif

aa ke mere ghar se jab wo mahfil-ara phir gaya

Kishan Singh Arif

MORE BYKishan Singh Arif

    aa ke mere ghar se jab vo mahfil-ārā phir gayā

    us ke phirne se mere siine pe aarā phir gayā

    jab nazar us paḌī ham āsmāñ se gir paḌe

    us ke phirte jahāñ ye ham se saarā phir gayā

    jāntā huuñ maiñ ki mujh se ho gayā hai kuchh gunāh

    dilrubā be-diloñ se dil tumhārā phir gayā

    ham to āshiq haiñ tere sūraj pe juuñ sūraj-mukhī

    ho jidhar bas udhar muñh hamārā phir gayā

    kūcha-e-mah-rū us ko koī raah miltī nahīñ

    gardish-e-gardūñ se jis ho sitārā phir gayā

    ghar meñ kyā aur bar kyā dildār bin lazzat nahīñ

    us ke dil ko chain kyā jis dil-ārā phir gayā

    'ārifā' maiñ ḳhvāb-e-ġhaflat meñ rahā jab be-ḳhabar

    jaag kar maiñ ne sunā dilbar pyārā phir gayā

    aa ke mere ghar se jab wo mahfil-ara phir gaya

    us ke phirne se mere sine pe aara phir gaya

    jab nazar us ki paDi hum aasman se gir paDe

    us ke phirte hi jahan ye hum se sara phir gaya

    jaanta hun main ki mujh se ho gaya hai kuchh gunah

    dilruba ya be-dilon se dil tumhaara phir gaya

    hum to aashiq hain tere suraj pe jun suraj-mukhi

    ho jidhar tu bas udhar hi munh hamara phir gaya

    kucha-e-mah-ru ki us ko koi rah milti nahin

    gardish-e-gardun se jis ka ho sitara phir gaya

    ghar mein kya aur bar kya dildar bin lazzat nahin

    us ke dil ko chain kya jis ka dil-ara phir gaya

    'arifa' main KHwab-e-ghaflat mein raha jab be-KHabar

    jag kar main ne suna dilbar pyara phir gaya

    Source :
    • Book : Diwan-e-Arif (Pg. 18)
    • Author : Kishan Singh Arif
    • Publication : Chashma-e-Noor Press, Amritsar
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now