aa ki hasti be-lab-o-be-gosh hai terai baghair
aa ki hastī be-lab-o-be-gosh hai terai baġhair
kā.enāt ik mahshar-e-ḳhāmosh hai tere baġhair
tū nahīñ to raat hai mahrūm-e-soz-e-zindagī
shaam hī se chāñdnī rū-posh hai tere baġhair
ai ki tere husn meñ raqsāñ haiñ lākhoñ mai-kade
tishna-e-bāda-lab-e-mai-nosh hai tere baġhair
aa ki phir dil meñ nahīñ uThtī koī mauj-e-nishāt
sard paanī bāda-e-sar-josh hai tere baġhair
niiñd aa aa kar uchaT jaatī hai terī yaad meñ
tār-e-bistar nashtar-e-āġhosh hai tere baġhair
jalva-e-har-roz jo har sub.h kī qismat meñ thā
ab vo ik dhuñdlā sā ḳhvāb-e-dosh hai tere baġhair
zindagī tujh se ibārat thī magar jab tū nahīñ
zindagī kā apnī kis ko hosh hai tere baġhair
zahmat-e-takiya tire zaanū ko detā hai ḳhayāl
sar ba-har pahlū vabāl-e-dosh hai tere baġhair
baiTh kar būñdoñ meñ kis ke saath dekhūñgā bahār
abr kī aamad vidā-e-hosh hai tere baġhair
aa ki mauzū-e-ġhazal ko DhūñDhtī hai har nigāh
naġhma-e-mutrib balā-e-gosh hai tere baġhair
kyā ḳhabar 'sīmāb' kab ghabrā ke de de apnī jaan
zabt go ab tak tahammul-kosh hai tere baġhair
aa ki hasti be-lab-o-be-gosh hai terai baghair
kaenat ek mahshar-e-KHamosh hai tere baghair
tu nahin to raat hai mahrum-e-soz-e-zindagi
sham hi se chandni ru-posh hai tere baghair
ai ki tere husn mein raqsan hain lakhon mai-kade
tishna-e-baada-lab-e-mai-nosh hai tere baghair
aa ki phir dil mein nahin uThti koi mauj-e-nishat
sard pani baada-e-sar-josh hai tere baghair
nind aa aa kar uchaT jati hai teri yaad mein
tar-e-bistar nashtar-e-aghosh hai tere baghair
jalwa-e-har-roz jo har subh ki qismat mein tha
ab wo ek dhundla sa KHwab-e-dosh hai tere baghair
zindagi tujh se ibarat thi magar jab tu nahin
zindagi ka apnī kis ko hosh hai tere baghair
zahmat-e-takiya tere zanu ko deta hai KHayal
sar ba-har pahlu wabaal-e-dosh hai tere baghair
baiTh kar bundon mein kis ke sath dekhunga bahaar
abr ki aamad wida-e-hosh hai tere baghair
aa ki mauzu-e-ghazal ko DhunDhti hai har nigah
naghma-e-mutrib bala-e-gosh hai tere baghair
kya KHabar 'simab' kab ghabra ke de de apnī jaan
zabt go ab tak tahammul-kosh hai tere baghair
- Book : Kaleem-e-Ajam (Pg. 217)
- Author : Seemab Akbarabadi
- Publication : Rifah-e-Aam Press, Agra (UP (1935)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.