aab mein saya-fagan gir ruKH-e-dilbar hota
aab meñ sāya-fagan gir ruḳh-e-dilbar hotā
shāḳh-e-har-mauj se paidā gul-e-ahmar hotā
mujh ko dekh ā.īna vahshī jo na dilbar hotā
sūrat-e-halqa-e-zanjīr na jauhar hotā
haif dekhī na chiiñ us kī masīhā varna
charḳh-e-chārum pe terī paas merā guhar hotā
maiñ agar kahne se us but kī pahantā zunnār
dil meñ juuñ rishta-e-tasbīh merā guhar hotā
saaf ham qat-e-nazar aks-e-duī se karte
vasl us ā.īna-rū kā jo musattir hotā
aab mein saya-fagan gir ruKH-e-dilbar hota
shaKH-e-har-mauj se paida gul-e-ahmar hota
mujh ko dekh aaina wahshi jo na dilbar hota
surat-e-halqa-e-zanjir na jauhar hota
haif dekhi na chin us ki masiha warna
charKH-e-chaarum pe teri pas mera guhar hota
main agar kahne se us but ki pahanta zunnar
dil mein jun rishta-e-tasbih mera guhar hota
saf hum qat-e-nazar aks-e-dui se karte
wasl us aaina-ru ka jo musattir hota
- Book : Intikhab-e-Kulliyat-e-Shah Naseer, Edited: Hafiz Mohammad Akbar (Pg. 9)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Aalaa Pres Merath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.