aabaad kabhi apna bhi virana-e-dil tha
ābād kabhī apnā bhī vīrāna-e-dil thā
ik sham.a-e-pur-nūr thā kāshāna-e-dil thā
luuTā gayā thā ek ḳhazāna se jo māmūr
hai ab to ḳharāba vahī jo ḳhāna-e-dil thā
sañg-sitam-charḳh se mai ḳhaak ne pī aur
yak-laḳht huā chuur paimāna-e-dil thā
ḳhud ho gayā afsāna vahī kis se kaheñ ab
marġhūb hamārā jise afsāna-e-dil thā
kyuuñ 'mashriqī'-e-ġham-zada kā dil na ho bechain
ab qabr kī hai jaan jo jānāna-e-dil thā
aabaad kabhi apna bhi virana-e-dil tha
ek shama-e-pur-nur tha kashana-e-dil tha
luTa gaya tha ek KHazana se jo mamur
hai ab to KHaraba wahi jo KHana-e-dil tha
sang-sitam-charKH se mai KHak ne pi aur
yak-laKHt hua chur paimana-e-dil tha
KHud ho gaya afsana wahi kis se kahen ab
marghub hamara jise afsana-e-dil tha
kyun 'mashriqi'-e-gham-zada ka dil na ho bechain
ab qabr ki hai jaan jo jaanana-e-dil tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.