aage jo baDha aaqa to baDhta hi gaya hai
aage jo baḌhā aaqā to baḌhtā hī gayā hai
qadmoñ ke tale habbazā aaj arsh-e-alā hai
e.azāz tujhe avval-o-āḳhir kā milā hai
hai.at bhī judā tirī hai ḳhilqat bhī judā hai
koī bhī to ye kah nahīñ saktā ki tū kyā hai
āgāh tirī asal se yā tu yā ḳhudā hai
sab kuchh tirā jo bhī yahāñ tire sivā hai
ḳhilqat bhī tirī ḳhāliq-e-akbar bhī tirā hai
har fauq ko hai fauq tire fauq se hāsil
har ek atā tirī atā hī kī atā hai
'hāmid' rahe ābād sadā shahr-e-nabī kā
jannat se bhī marġhūb madīne kī fazā hai
aage jo baDha aaqa to baDhta hi gaya hai
qadmon ke tale habbaza aaj arsh-e-ala hai
eazaz tujhe awwal-o-aKHir ka mila hai
haiat bhi juda teri hai KHilqat bhi juda hai
koi bhi to ye kah nahin sakta ki tu kya hai
aagah teri asal se ya tu ya KHuda hai
sab kuchh tera jo bhi yahan tere siwa hai
KHilqat bhi teri KHaliq-e-akbar bhi tera hai
har fauq ko hai fauq tere fauq se hasil
har ek ata teri ata hi ki ata hai
'hamid' rahe aabaad sada shahr-e-nabi ka
jannat se bhi marghub madine ki faza hai
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 166)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.