aaj ek ik baada-kash masrur mai-KHane mein hai
aaj ek ik baada-kash masrur mai-KHane mein hai
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
aaj ik ik bāda-kash masrūr mai-ḳhāne meñ hai
taaza taaza iske uske sab ke paimāne meñ hai
shaiḳh jal uThegā to vo sho.ala mai-ḳhāne meñ hai
mai nahīñ ye ik dahaktī aag paimāne meñ hai
aaj dīvāna banā letā hai saarī ḳhalq ko
ik adā-e-ḳhās aisī us ke dīvāne meñ hai
der botal ke uThāne meñ lagegī kuchh na kuchh
mujh ko utnī hī bahut hai jitnī paimāne meñ hai
mai-kade meñ aane vaalo mai-kada mat chhoḌnā
marne jiine kā mazā kuchh hai to mai-ḳhāne meñ hai
pī rahā huuñ jī rahā huuñ shaad huuñ masrūr huuñ
zindagī hī zindagī labrez paimāne meñ hai
dil kī be-kaifī kā ye 'ālam huā ba.ad-e-junūñ
lutf jiine kā na gulshan meñ na vīrāne meñ hai
dhyān hai aahaT pe hasrat dil meñ hai āñkhoñ meñ dam
ham chale duniyā se un ko der agar aane meñ hai
jaag uThī qismat muqaddar jagmagā uTThā 'nasīr'
jalva-farmā aaj koī mere kāshāne meñ hai
aaj ek ek baada-kash masrur mai-KHane mein hai
taza taza iske uske sab ke paimane mein hai
shaiKH jal uThega to wo shoala mai-KHane mein hai
mai nahin ye ek dahakti aag paimane mein hai
aaj diwana bana leta hai sari KHalq ko
ek ada-e-KHas aisi us ke diwane mein hai
der botal ke uThane mein lagegi kuchh na kuchh
mujh ko utni hi bahut hai jitni paimane mein hai
mai-kade mein aane walo mai-kada mat chhoDna
marne jine ka maza kuchh hai to mai-KHane mein hai
pi raha hun ji raha hun shad hun masrur hun
zindagi hi zindagi labrez paimane mein hai
dil ki be-kaifi ka ye 'alam hua baad-e-junun
lutf jine ka na gulshan mein na virane mein hai
dhyan hai aahaT pe hasrat dil mein hai aankhon mein dam
hum chale duniya se un ko der agar aane mein hai
jag uThi qismat muqaddar jagmaga uTTha 'nasir'
jalwa-farma aaj koi mere kashane mein hai
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 677)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.