aaj mai-KHane mein niyat meri bhar jaane de
aaj mai-KHane mein niyat meri bhar jaane de
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
aaj mai-ḳhāne meñ nīyat merī bhar jaane de
bāda-e-nāb ke saaqī mujhe paimāne de
kis ko mā’lūm ki kal kaun rahegā zinda
aaj rindoñ ko zarā pī ke bahak jaane de
dekh ai dil na aañch aa.e vafā par koī
jo bhī aatī hai musībat mere sar aane de
tujh se bhī dast-o-garebāñ kabhī hogā vā’iz
vashī-e-ishq ko rañg aur zarā laane de
ai mire dast-e-junoñ baḌh ke ulaT de parda
husn sharmāne pe maa.il hai to sharmāne de
ik do jaam se kyā piyās bujhegī saaqī
mai pilātā hai to aise ka.ī paimāne de
'ishq hai 'ishq 'nasīr' un se shikāyat kaisī
vo jo taḌpāne pe āmāda haiñ taḌpāne de
aaj mai-KHane mein niyat meri bhar jaane de
baada-e-nab ke saqi mujhe paimane de
kis ko ma’lum ki kal kaun rahega zinda
aaj rindon ko zara pi ke bahak jaane de
dekh ai dil na aanch aae wafa par koi
jo bhi aati hai musibat mere sar aane de
tujh se bhi dast-o-gareban kabhi hoga wa’iz
washi-e-ishq ko rang aur zara lane de
ai mere dast-e-junon baDh ke ulaT de parda
husn sharmane pe mail hai to sharmane de
ek do jam se kya piyas bujhegi saqi
mai pilata hai to aise kai paimane de
'ishq hai 'ishq 'nasir' un se shikayat kaisi
wo jo taDpane pe aamada hain taDpane de
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 927)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.