aakash ki jagmag raaton mein jab chand sitare milte hain
aakash ki jagmag raaton mein jab chand sitare milte hain
Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
ākāsh kī jagmag rātoñ meñ jab chāñd sitāre milte haiñ
dil de de sanam ko tū bhī ye qudrat ke ishāre milte haiñ
us komal sundar dhartī par har yug meñ dil ko ai nādāñ
ik bholī-bhālī sūrat meñ bhagvān hamāre milte haiñ
ḳhud prem kī jot jalā kar ye tan-man meñ aag lagā kar ye
kyā haal hai terā kahte haiñ jab ishq ke maare milte haiñ
jīvan kī uljhī rāhoñ meñ jab ghor añdherā aatā hai
hāthoñ meñ liye raushan mash.al to guru hamāre milte haiñ
'kāvish' kā yahī hai afsāna hai nām-e-alī kā dīvāna
duniyā ko alī kī chaukhaT se jiine ke sahāre milte haiñ
aakash ki jagmag raaton mein jab chand sitare milte hain
dil de de sanam ko tu bhi ye qudrat ke ishaare milte hain
us komal sundar dharti par har yug mein dil ko ai nadan
ek bholi-bhaali surat mein bhagwan hamare milte hain
KHud prem ki jot jala kar ye tan-man mein aag laga kar ye
kya haal hai tera kahte hain jab ishq ke mare milte hain
jiwan ki uljhi rahon mein jab ghor andhera aata hai
hathon mein liye raushan mashal to guru hamare milte hain
'kawish' ka yahi hai afsana hai nam-e-ali ka diwana
duniya ko ali ki chaukhaT se jine ke sahaare milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.