nahin hai KHuda ki qasam mere rahmat
nahīñ hai ḳhudā kī qasam mere rahmat
zamāne meñ tum sā sanam mere rahmat
chale aao dīdār ko tarse añkhiyāñ
ġhulāmoñ kā rakh lo bhram mere rahmat
tumheñ iiñT patthar kā qibla mubārak
mirā qibla kā'ba haram mere rahmat
raho aaqā tum aur maiñ banda tumhārā
ye rishta ho janm-o-janam mere rahmat
jo ik baar dekhe nigāheñ tumhārī
bhulā baiThe dīn-o-dharam mere rahmat
ho tabdīl bāġh-e-iram meñ jagah vo
jahāñ bhī rakho tum qadam mere rahmat
tumhārī 'atā se hai jo kuchh hai aaqā
zamāne meñ aamir kā bharam mere rahmat
nahin hai KHuda ki qasam mere rahmat
zamane mein tum sa sanam mere rahmat
chale aao didar ko tarse ankhiyan
ghulamon ka rakh lo bhram mere rahmat
tumhein inT patthar ka qibla mubarak
mera qibla ka'ba haram mere rahmat
raho aaqa tum aur main banda tumhaara
ye rishta ho janm-o-janam mere rahmat
jo ek bar dekhe nigahen tumhaari
bhula baiThe din-o-dharam mere rahmat
ho tabdil bagh-e-iram mein jagah wo
jahan bhi rakho tum qadam mere rahmat
tumhaari 'ata se hai jo kuchh hai aaqa
zamane mein aamir ka bharam mere rahmat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.