mil gaya hai tera dar mujhe
mil gayā hai tirā dar mujhe
fikr-e-'uqbā ho kyuuñ kar mujhe
mere rahmat tirā shukriya
jo diyā aisā gauhar mujhe
pūchhe un se ye koī zarā
kyā samajhte haiñ āḳhir mujhe
jab se 'āshiq huā aap kā
ḳhuub lagte haiñ patthar mujhe
saath tere bitā.e vo lamhe
yaad aate haiñ aksar mujhe
yaad karte haiñ mansūr ko
shahr ke qaazī paḌh kar mujhe
kufr-o-īmān apnī jagah
dījiye aap sāġhar mujhe
sach agar boltā huuñ to phir
log kahte haiñ kāfir mujhe
mil gaya hai tera dar mujhe
fikr-e-'uqba ho kyun kar mujhe
mere rahmat tera shukriya
jo diya aisa gauhar mujhe
puchhe un se ye koi zara
kya samajhte hain aaKHir mujhe
jab se 'ashiq hua aap ka
KHub lagte hain patthar mujhe
sath tere bitae wo lamhe
yaad aate hain aksar mujhe
yaad karte hain mansur ko
shahr ke qazi paDh kar mujhe
kufr-o-iman apni jagah
dijiye aap saghar mujhe
sach agar bolta hun to phir
log kahte hain kafir mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.