mujhe teri ziyarat ho rahi hai
mujhe terī ziyārat ho rahī hai
baḌī achchhī 'ibādat ho rahī hai
ye sab terī 'atā hai mere murshid
jahāñ bhar meñ jo shohrat ho rahī hai
idhar to qatl karne par amāda
udhar chashm-e-muravvat ho rahī hai
nigāhoñ se nigāheñ mil rahī haiñ
qayāmat par qayāmat ho rahī hai
nigāheñ gar uThā.eñ to ye lagtā hai
qayāmat kī vazāhat ho rahī hai
tumhārī be-ruḳhī kā dekhiye to
tumhī se ab shikāyat ho rahī hai
haTā kar phuul kāñTe hī bichhā do
hameñ to chalne meñ diqqat ho rahī hai
kiye hassān aaqā kī jo 'āmir'
kahāñ tum se vo mid.hat ho rahī hai
mujhe teri ziyarat ho rahi hai
baDi achchhi 'ibaadat ho rahi hai
ye sab teri 'ata hai mere murshid
jahan bhar mein jo shohrat ho rahi hai
idhar to qatl karne par amada
udhar chashm-e-murawwat ho rahi hai
nigahon se nigahen mil rahi hain
qayamat par qayamat ho rahi hai
nigahen gar uThaen to ye lagta hai
qayamat ki wazahat ho rahi hai
tumhaari be-ruKHi ka dekhiye to
tumhi se ab shikayat ho rahi hai
haTa kar phul kanTe hi bichha do
hamein to chalne mein diqqat ho rahi hai
kiye hassan aaqa ki jo 'amir'
kahan tum se wo midhat ho rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.