hayat meri tumhaare hi gham shumar kare
hayāt merī tumhāre hī ġham shumār kare
dil shikasta bhī har vaqt zār-zār kare
zujāj sāmne rakhā hai aur dekho to
majāl hai jo mirī shakl kā shumār kare
jahāñ kā husn hai tasvīr-e-yār kī mānind
tamām 'umr koī kaise intizār kare
harīm-e-vajd hai qalb-e-hazīñ to hairat kyā
ki terī diid pe aur kyā dil-figār kare
mizāj achchhā hai dil bhī hai ḳhush bahut merā
sarāb aisā ki har koī e'tibār kare
ye fazl hī to hai baaqī huuñ 'ishq hone par
siyāh-baḳht ye kaise sirāt paar kare
kamāl-e-'ishq hai sahrā bhī ban gayā dariyā
kalām-e-fan hai jo dariyā ko regzār kare
visāl-o-hijr ke qisse kise sunā.ūñ ‘amal’
hai koī jo mire zaḳhmoñ kā chāra-kār kare
hayat meri tumhaare hi gham shumar kare
dil shikasta bhi har waqt zar-zar kare
zujaj samne rakha hai aur dekho to
majal hai jo meri shakl ka shumar kare
jahan ka husn hai taswir-e-yar ki manind
tamam 'umr koi kaise intizar kare
harim-e-wajd hai qalb-e-hazin to hairat kya
ki teri did pe aur kya dil-figar kare
mizaj achchha hai dil bhi hai KHush bahut mera
sarab aisa ki har koi e'tibar kare
ye fazl hi to hai baqi hun 'ishq hone par
siyah-baKHt ye kaise siraat par kare
kamal-e-'ishq hai sahra bhi ban gaya dariya
kalam-e-fan hai jo dariya ko regzar kare
visal-o-hijr ke qisse kise sunaun ‘amal’
hai koi jo mere zaKHmon ka chaara-kar kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.