baad tere bhi kya kabhi hogi
baa'd tere bhī kyā kabhī hogī
ye mohabbat to āḳhirī hogī
hai samandar se ber barsoñ kā
merī kashtī meñ kuchh kamī hogī
ho ga.e phuul ḳhatm saare hī
ab bahāroñ meñ be-kalī hogī
vo bahut duur jaake baiThā hai
baat dil par koī lagī hogī
zaḳhm-e-dil bharne ke liye ab ki
zindagī ham ko DhūñDhtī hogī
mujh se milne agar vo aa jaa.e
phir amāvas bhī chāñdnī hogī
muddatoñ baa'd aa rahā hai vo
us ko jaane kī haḌbaḌī hogī
ab ‘amal’ tab batā.egī ġham sab
jab tire dar pe hāzirī hogī
ba'd tere bhi kya kabhi hogi
ye mohabbat to aaKHiri hogi
hai samandar se ber barson ka
meri kashti mein kuchh kami hogi
ho gae phul KHatm sare hi
ab bahaaron mein be-kali hogi
wo bahut dur jake baiTha hai
baat dil par koi lagi hogi
zaKHm-e-dil bharne ke liye ab ki
zindagi hum ko DhunDhti hogi
mujh se milne agar wo aa jae
phir amawas bhi chandni hogi
muddaton ba'd aa raha hai wo
us ko jaane ki haDbaDi hogi
ab ‘amal’ tab bataegi gham sab
jab tere dar pe haziri hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.