Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aane do apne pas mujhko

Meer Muhammad Bedar

aane do apne pas mujhko

Meer Muhammad Bedar

MORE BYMeer Muhammad Bedar

    aane do apne paas mujh ko

    karnā hai kuchh iltimās mujh ko

    tere ye jaur kab sahūñ maiñ

    gar ishq ho na paas mujh ko

    do tifl-mizāj shīsha-dil meñ

    kis tarah na ho hirās mujh ko

    lagtā hai na ghar meñ dil na bāhar

    kis ne ye kiyā udaas mujh ko

    kyā haal kahūñ ki dekh us ko

    rahte nahīñ havās mujh ko

    ai nik.hat-e-gul parī rah

    aanā hai usī ke paas mujh ko

    muñh pherā bhī na us taraf se

    Tuk hone de rū-shanās mujh ko

    uTh jā.ūñgā ek din ḳhafā ho

    yahāñ tak na karo udaas mujh ko

    gar haiñ yahī jaur us ke 'bedār'

    bachne nahīñ hai aas mujh ko

    aane do apne pas mujh ko

    karnā hai kuchh iltimās mujh ko

    tere ye jaur kab sahūñ maiñ

    gar ishq ho na pas mujh ko

    do tifl-mizāj shīsha-dil meñ

    kis tarah na ho hirās mujh ko

    lagtā hai na ghar meñ dil na bāhar

    kis ne ye kiyā udas mujh ko

    kyā haal kahūñ ki dekh us ko

    rahte nahīñ hawās mujh ko

    ai nikhat-e-gul parī rah

    aanā hai usī ke pas mujh ko

    muñh pherā bhī na us taraf se

    Tuk hone de rū-shanās mujh ko

    uTh jāūñgā ek din ḳhafā ho

    yahāñ tak na karo udas mujh ko

    gar haiñ yahī jaur us ke 'bedār'

    bachne nahīñ hai aas mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now