aankh unki phir aaluda-e-nam dekh raha hun
aañkh un kī phir ālūda-e-nam dekh rahā huuñ
ḳhud par unheñ mā.il-ba-karam dekh rahā huuñ
ai jazb-e-mohabbat tere maqdūr pe qurbāñ
kaunain tere sāmne ḳham dekh rahā huuñ
unvān tirā zikr tirā lafz tire haiñ
maiñ haath meñ sirf apne qalam dekh rahā huuñ
paḌh letā huuñ har amr-e-muqaddar ko maiñ dil par
jaise ki sū-e-lauh-o-qalam dekh rahā huuñ
aankh un ki phir aaluda-e-nam dekh raha hun
KHud par unhen mail-ba-karam dekh raha hun
ai jazb-e-mohabbat tere maqdur pe qurban
kaunain tere samne KHam dekh raha hun
unwan tera zikr tera lafz tere hain
main hath mein sirf apne qalam dekh raha hun
paDh leta hun har amr-e-muqaddar ko main dil par
jaise ki su-e-lauh-o-qalam dekh raha hun
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 165)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.