aankhon mein hai bahaar tamasha kahen jise
Interesting Fact
(رہنما ’’الوارث‘‘ ۱۹۶۳)
āñkhoñ meñ hai bahār tamāshā kaheñ jise
dil meñ hai ishtiyāq kī duniyā kaheñ jise
paidā kiyā hai mashq-e-tasavvur se qalb meñ
aks-e-jamāl-e-yār kā jalva kaheñ jise
ai dost kyuuñ hai merī musībat pe ḳhanda-zan
ye aish vo hai ishrat-e-rā.anā kaheñ jise
us kā jamāl pesh-e-nazar muddatoñ se hai
taskīn-e-jān-o-dil kā sahārā kaheñ jise
ham to terī galī ko samajhte haiñ apnā arsh
kyā jaane kyā hai 'arsh'-e-mualla kaheñ jise
'aḳhtar' vo saarī bazm meñ badnām ho ga.e
merī vo kyā nigāh thī rusvā kaheñ jise
aankhon mein hai bahaar tamasha kahen jise
dil mein hai ishtiyaq ki duniya kahen jise
paida kiya hai mashq-e-tasawwur se qalb mein
aks-e-jamal-e-yar ka jalwa kahen jise
ai dost kyun hai meri musibat pe KHanda-zan
ye aish wo hai ishrat-e-raana kahen jise
us ka jamal pesh-e-nazar muddaton se hai
taskin-e-jaan-o-dil ka sahaara kahen jise
hum to teri gali ko samajhte hain apna arsh
kya jaane kya hai 'arsh'-e-mualla kahen jise
'aKHtar' wo sari bazm mein badnam ho gae
meri wo kya nigah thi ruswa kahen jise
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 162)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.