aankhon mein hain rang-e-mahfil hazaron
āñkhoñ meñ haiñ rañg-e-mahfil hazāroñ
abhī rañg dikhlā.egā dil hazāroñ
hazāroñ haiñ ruḳhsār are til hazāroñ
fidā tere til par haiñ kyuuñ dil hazāroñ
agar bazm ārā.ī-e-dil yahī hai
baneñge hasīñ sham.a-e-mahfil hazāroñ
na girheñ khulīñ un ke band-e-qabā kī
khule uqde sar-basta mushkil hazāroñ
kyā terah tāroñ ko bhī ai shab-e-ġham
ye rū-e-falak par haiñ kyuuñ til hazāroñ
vo shai aaj vaa.iz ko ham ne pilā kar
miTā.e ḳhayālāt-e-bātil hazāroñ
bahut mil raheñge chhurī pherne ko
salāmat ye dil hai to qātil hazāroñ
ye gulchīñ ne kyuuñ phuul gulshan meñ toḌā
ki is par haiñ TuuTe anā dil hazāroñ
galī meñ tire hashr ke din bhī qātil
paḌe lūTte hoñge bismil hazāroñ
kahīñ qais hai ab na laila kahīñ hai
bagūle hazāroñ haiñ mahmil hazāroñ
ye hai mai-kada koī chauñkā.e kis ko
paḌe haiñ yahāñ mast-o-ġhāfil hazāroñ
na tarsā unheñ āb-e-ḳhanjar ko qātil
duā.eñ tujhe deñge bismil hazāroñ
lipaT kar na phir mere dāman se chhūTe
ga.e ḳhaar rah sū-e-manzil hazāroñ
ye kyā mashvare hashr meñ ho rahe haiñ
ye kyuuñ jam.a haiñ aaj qātil hazāroñ
raheñ tā-qayāmat javānī kī rāteñ
ye rāteñ haiñ to māh-e-kāmil hazāroñ
ubhāre se ubhre na gul tere aage
chahakne ko chahke anā dil hazāroñ
fann-e-sher bhī kyā hī āsān fan hai
jahāñ dekho is fan ke kāmil hazāroñ
'riyāz' un se kah do satā.eñ sambhal kar
bhare mere siine meñ haiñ dil hazāroñ
aankhon mein hain rang-e-mahfil hazaron
abhi rang dikhlaega dil hazaron
hazaron hain ruKHsar are til hazaron
fida tere til par hain kyun dil hazaron
agar bazm aarai-e-dil yahi hai
banenge hasin shama-e-mahfil hazaron
na girhen khulin un ke band-e-qaba ki
khule uqde sar-basta mushkil hazaron
kya terah taron ko bhi ai shab-e-gham
ye ru-e-falak par hain kyun til hazaron
wo shai aaj waiz ko hum ne pila kar
miTae KHayalat-e-baatil hazaron
bahut mil rahenge chhuri pherne ko
salamat ye dil hai to qatil hazaron
ye gulchin ne kyun phul gulshan mein toDa
ki is par hain TuTe ana dil hazaron
gali mein tere hashr ke din bhi qatil
paDe luTte honge bismil hazaron
kahin qais hai ab na laila kahin hai
bagule hazaron hain mahmil hazaron
ye hai mai-kada koi chaunkae kis ko
paDe hain yahan mast-o-ghafil hazaron
na tarsa unhen aab-e-KHanjar ko qatil
duaen tujhe denge bismil hazaron
lipaT kar na phir mere daman se chhuTe
gae KHar rah su-e-manzil hazaron
ye kya mashware hashr mein ho rahe hain
ye kyun jama hain aaj qatil hazaron
rahen ta-qayamat jawani ki raaten
ye raaten hain to mah-e-kaamil hazaron
ubhaare se ubhre na gul tere aage
chahakne ko chahke ana dil hazaron
fann-e-sher bhi kya hi aasan fan hai
jahan dekho is fan ke kaamil hazaron
'riyaz' un se kah do sataen sambhal kar
bhare mere sine mein hain dil hazaron
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 314)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.