aankhon se pi nazar se nazar ko mila ke pi
āñkhoñ se pī nazar se nazar ko milā ke pī
pī aur naqāb-e-husn-e-do-ālam uThā ke pī
muusā ne pī hai tuur ne pī hai mai-e-jamāl
tū bhī harīm-e-nāz ke parde uThā ke pī
mai-ḳhāna-e-azal meñ khiñchī hai sharāb-e-ishq
tū hastī-e-jahān ko sāġhar banā ke pī
ka.aba ho but-kada ho ki vo kū-e-dost ho
dil terā chāhe jis meñ usī ghar meñ jā ke pī
allāh ke habīb kī ulfat kī hai sharāb
pī jaa.e jis qadar ḳhum-o-sāġhar uThā ke pī
in manziloñ meñ aql-o-ḳhirad kā nahīñ hai kaam
ai be-ḳhud-e-jamāl zarā hosh uḌā ke pī
jalve pilā rahe haiñ jo 'qaisar' sharāb-e-ishq
ai mard-e-pāk-bāz tū ghar meñ ḳhudā ke pī
aankhon se pi nazar se nazar ko mila ke pi
pi aur naqab-e-husn-e-do-alam uTha ke pi
musa ne pi hai tur ne pi hai mai-e-jamal
tu bhi harim-e-naz ke parde uTha ke pi
mai-KHana-e-azal mein khinchi hai sharab-e-ishq
tu hasti-e-jahan ko saghar bana ke pi
kaba ho but-kada ho ki wo ku-e-dost ho
dil tera chahe jis mein usi ghar mein ja ke pi
allah ke habib ki ulfat ki hai sharab
pi jae jis qadar KHum-o-saghar uTha ke pi
in manzilon mein aql-o-KHirad ka nahin hai kaam
ai be-KHud-e-jamal zara hosh uDa ke pi
jalwe pila rahe hain jo 'qaisar' sharab-e-ishq
ai mard-e-pak-baz tu ghar mein KHuda ke pi
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 183)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.