aap mashuq kya ho gae
aap ma.ashūq kyā ho ga.e
āshiqoñ ke ḳhudā ho ga.e
tum ko achchhā musalmāñ kiyā
aur kāfir-adā ho ga.e
chashm-e-sāqī se pī lī sharāb
shaiḳh-jī pārsā ho ga.e
us ne mayyat pe aa kar kahā
tum to sach-much ḳhafā ho ga.e
aa ga.e merī mayyat pe tum
saare va.ade vafā ho ga.e
ḳhair ab kārvāñ kī nahīñ
rāhzan rahnumā ho ga.e
aur kuchh ġham nahīñ ġham ye hai
aap mil kar judā ho ga.e
'purnam' us be-vafā ke liye
mere aañsū duā ho ga.e
aap mashuq kya ho gae
aashiqon ke KHuda ho gae
tum ko achchha musalman kiya
aur kafir-ada ho gae
chashm-e-saqi se pi li sharab
shaiKH-ji parsa ho gae
us ne mayyat pe aa kar kaha
tum to sach-much KHafa ho gae
aa gae meri mayyat pe tum
sare wade wafa ho gae
KHair ab karwan ki nahin
rahzan rahnuma ho gae
aur kuchh gham nahin gham ye hai
aap mil kar juda ho gae
'purnam' us be-wafa ke liye
mere aansu dua ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.