mujhe na chheD ai nasim-e-taza ki mahw-e-ru-e-jamal hun main
mujhe na chheD ai nasim-e-taza ki mahw-e-ru-e-jamal hun main
Aaqil Revarhvi
MORE BYAaqil Revarhvi
mujhe na chheḌ ai nasīm-e-tāza ki mahv-e-rū-e-jamāl huuñ maiñ
qatīl-e-husn-e-chaman nahīñ huuñ asīr-e-dām-e-ḳhayāl huuñ maiñ
mujhī meñ muzmar hai soz-e-ulfat nihāñ mujhī meñ hai husn-e-fitrat
mujhe miTā.egā kyā zamāna ki mazhar-e-lā-zavāl huuñ maiñ
na jaane kis kī talāsh mujh ko uḌā ke laa.ī hai sū-e-hastī
junūñ meñ gardish-e-bagolā huuñ maiñ taḌap meñ barq-e-kamāl huuñ maiñ
mirī haqīqat na pūchh nāseh ishāra kaafī hai sirf itnā
paḌe hai jis kā ye partav-e-ruḳh usī kā 'aks-e-jamāl huuñ maiñ
mirā junūn-e-vafā musalsal mirī hadīs-e-alam mukammal
amīn-e-roz-e-azal huuñ 'āqil' ġharīq-e-shauq-e-visāl huuñ maiñ
mujhe na chheD ai nasim-e-taza ki mahw-e-ru-e-jamal hun main
qatil-e-husn-e-chaman nahin hun asir-e-dam-e-KHayal hun main
mujhi mein muzmar hai soz-e-ulfat nihan mujhi mein hai husn-e-fitrat
mujhe miTaega kya zamana ki mazhar-e-la-zawal hun main
na jaane kis ki talash mujh ko uDa ke lai hai su-e-hasti
junun mein gardish-e-bagola hun main taDap mein barq-e-kamal hun main
meri haqiqat na puchh naseh ishaara kafi hai sirf itna
paDe hai jis ka ye partaw-e-ruKH usi ka 'aks-e-jamal hun main
mera junun-e-wafa musalsal meri hadis-e-alam mukammal
amin-e-roz-e-azal hun 'aqil' ghariq-e-shauq-e-visal hun main
- Book : Kalaam-e-Aaqil-o-Saudai (Pg. 82)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.