haqiqat us bala-nosh-e-azal ki shaiKH kya jaane
haqīqat us balā-nosh-e-azal kī shaiḳh kyā jaane
jise taḳhlīq-e-hastī meñ farishte tak na pahchāne
junūñ kī kār-farmā.ī kahāñ tak hai ḳhudā jaane
ki tā-hadd-e-nazar 'āqil nazar aate haiñ vīrāne
kuchh aañsū chashm-e-giryāñ meñ kuchh aañsū qalb-e-biryāñ meñ
chalā huuñ bārgāh-e-husn meñ lekar ye nazrāne
bajā ahkām-e-zabt-e-ġham magar is dil ko kyā kahiye
tumhārā naam aate hī chhalak jaate haiñ paimāne
nazar manzil pe hai aur pāvauñ haiñ sahrā-e-vahshat meñ
junūñ meñ bhī balā kā hosh rakhte haiñ ye dīvāne
haiñ tafsīr-e-rumūz-e-kun mire ash.ār ai 'āqil
koī samjhe to kyā samjhe koī jaane to kyā jaane
haqiqat us bala-nosh-e-azal ki shaiKH kya jaane
jise taKHliq-e-hasti mein farishte tak na pahchane
junun ki kar-farmai kahan tak hai KHuda jaane
ki ta-hadd-e-nazar 'aqil nazar aate hain virane
kuchh aansu chashm-e-giryan mein kuchh aansu qalb-e-biryan mein
chala hun bargah-e-husn mein lekar ye nazrane
baja ahkaam-e-zabt-e-gham magar is dil ko kya kahiye
tumhaara nam aate hi chhalak jate hain paimane
nazar manzil pe hai aur pawaun hain sahra-e-wahshat mein
junun mein bhi bala ka hosh rakhte hain ye diwane
hain tafsir-e-rumuz-e-kun mere ashaar ai 'aqil
koi samjhe to kya samjhe koi jaane to kya jaane
- Book : Kalaam-e-Aaqil-o-Saudai (Pg. 112)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.