mere KHun-e-arzu ko wo samajh rahe hain pani
mere ḳhūn-e-ārzū ko vo samajh rahe haiñ paanī
unheñ hosh tak na aayā mirī luT ga.ī javānī
maiñ ne pahle hī kahā thā tirī har adā hai faanī
dil-e-bad-nasīb tū ne mirī baat hī na maanī
mujhe aaj hī pilā de na tavakkul pe Taal saaqī
ki chhalak na jaa.e kal tak mirā jām-e-zindagānī
na uḌā tū Thokaroñ se mirī ḳhāk-e-qabr zālim
yahī āḳhirī bachī hai tire hijr kī nishānī
mire sher sun rahe haiñ ye mah-o-nujūm 'āqil'
mujhe le uḌī hai merī yahī tarz-e-kHushbayānī
mere KHun-e-arzu ko wo samajh rahe hain pani
unhen hosh tak na aaya meri luT gai jawani
main ne pahle hi kaha tha teri har ada hai fani
dil-e-bad-nasib tu ne meri baat hi na mani
mujhe aaj hi pila de na tawakkul pe Tal saqi
ki chhalak na jae kal tak mera jam-e-zindagani
na uDa tu Thokaron se meri KHak-e-qabr zalim
yahi aaKHiri bachi hai tere hijr ki nishani
mere sher sun rahe hain ye mah-o-nujum 'aqil'
mujhe le uDi hai meri yahi tarz-e-kHushbayani
- Book : Sub'he Baaraa'n (Pg. 37)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.