tere KHun-e-arzu ko jo samajh raha hai pani
tire ḳhūn-e-ārzū ko jo samajh rahā hai paanī
tirī us ne dar-haqīqat koī qadr hī na jaanī
mujhe ḳhaak ab malegā vo bahār-e-zindagānī
tire 'ishq ne jo zālim mirī phūñk dī javānī
kahīñ lai na TuuT jaa.e mire naġhma-e-vafā kī
ki shikasta ho chalā hai mirā sāz-e-zindagānī
ye jale-jale se tinke ye bujhā-bujhā nasheman
mire haal par huī hai ye falak kī mehrbānī
shab-e-ġham kī āñdhiy.oñ kā mujhe e'tibār kam hai
tumhīñ ab bujhā ke jaanā ye charāġh-e-zindagānī
karūñ kis tarah mukammal ġham-e-ishq kā fasāna
ġham-e-’ishq lā-fanā hai mirī zindagī hai faanī
mire sher sun ke dushman bhī ye kah rahe haiñ 'āqil
ki ġhazab kī hai latāfat tū balā kī hai ravānī
tere KHun-e-arzu ko jo samajh raha hai pani
teri us ne dar-haqiqat koi qadr hi na jaani
mujhe KHak ab malega wo bahaar-e-zindagani
tere 'ishq ne jo zalim meri phunk di jawani
kahin lai na TuT jae mere naghma-e-wafa ki
ki shikasta ho chala hai mera saz-e-zindagani
ye jale-jale se tinke ye bujha-bujha nasheman
mere haal par hui hai ye falak ki mehrbani
shab-e-gham ki aandhiyon ka mujhe e'tibar kam hai
tumhin ab bujha ke jaana ye charagh-e-zindagani
karun kis tarah mukammal gham-e-ishq ka fasana
gham-e-’ishq la-fana hai meri zindagi hai fani
mere sher sun ke dushman bhi ye kah rahe hain 'aqil
ki ghazab ki hai latafat tu bala ki hai rawani
- Book : Sub'he Baaraa'n (Pg. 37)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.