nigah-e-lutf yaad aai fusun-e-naz yaad aaya
nigāh-e-lutf yaad aa.ī fusūn-e-nāz yaad aayā
mujhe barbādī-e-dil kā hasīñ-andāz yaad aayā
chaman meñ bulbul-e-rañgīñ navā kī baat kyā niklī
dil-e-ātish ba-jāñ ko sho'la-e-āvāz yaad aayā
sabā ke naaz ra.anā.ī pe zo.am ḳhush-ḳhirāmī par
kisī sarv-e-ḳhirāmāñ kā ḳhirām-e-nāz yaad aayā
ba-īñ shorīdgī-e-dil ba-īñ be-gāna-sāmānī
nigāh-e-avvalīñ kā dil-nashīñ andāz yaad aayā
chaman kī yaad jab aa.ī to āñkhoñ se lahū Tapkā
qiyāmat sar se guzrī jab par-e-parvāz yaad aayā
mazā aisā milā dil ko nishāt-e-nā-murādī kā
ki daur-e-aish meñ bhī tāle'-e-nā-sāz yaad aayā
mirī mahrūmiyāñ vaj.h-e-ta.alluq bin ga.iiñ 'ārif'
ḳhat-e-taqdīr se dast-e-karishmā-sāz yaad aayā
nigah-e-lutf yaad aai fusun-e-naz yaad aaya
mujhe barbaadi-e-dil ka hasin-andaz yaad aaya
chaman mein bulbul-e-rangin nawa ki baat kya nikli
dil-e-atish ba-jaan ko sho'la-e-awaz yaad aaya
saba ke naz ranai pe zoam KHush-KHirami par
kisi sarw-e-KHiraman ka KHiram-e-naz yaad aaya
ba-in shoridgi-e-dil ba-in be-gana-samani
nigah-e-awwalin ka dil-nashin andaz yaad aaya
chaman ki yaad jab aai to aankhon se lahu Tapka
qiyamat sar se guzri jab par-e-parwaz yaad aaya
maza aisa mila dil ko nishat-e-na-muradi ka
ki daur-e-aish mein bhi tale'-e-na-saz yaad aaya
meri mahrumiyan wajh-e-talluq bin gain 'arif'
KHat-e-taqdir se dast-e-karishma-saz yaad aaya
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 213)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.