mohabbat mein mohabbat ki qasam aisa bhi hota hai
mohabbat meñ mohabbat kī qasam aisā bhī hotā hai
ki dil rotā hai aur hañste haiñ ham aisā bhī hotā hai
nazar aatī hai jis kī raushnī meñ ik na.ī manzil
ḳhudā rakhe tirā naqsh-e-qadam aisā bhī hotā hai
mohabbat meñ kabhī chashm-e-karam bhī baar hotī hai
guloñ par ashk-e-shabnam kī qasam aisā bhī hotā hai
zabān-e-ishq ban jaatī hai aksar be-zabānī bhī
nigāhoñ se baras paḌtā hai ġham aisā bhī hotā hai
hujūm-e-ġham meñ bhī 'ārif' ḳhushī mahsūs karatā huuñ
ḳhushī se bhī ulajh jaatā hai dam aisā bhī hotā hai
mohabbat mein mohabbat ki qasam aisa bhi hota hai
ki dil rota hai aur hanste hain hum aisa bhi hota hai
nazar aati hai jis ki raushni mein ek nai manzil
KHuda rakhe tera naqsh-e-qadam aisa bhi hota hai
mohabbat mein kabhi chashm-e-karam bhi bar hoti hai
gulon par ashk-e-shabnam ki qasam aisa bhi hota hai
zaban-e-ishq ban jati hai aksar be-zabani bhi
nigahon se baras paDta hai gham aisa bhi hota hai
hujum-e-gham mein bhi 'arif' KHushi mahsus karata hun
KHushi se bhi ulajh jata hai dam aisa bhi hota hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 213)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.