mujhe mahrumiyon ka gham nahi hai
mujhe mahrūmiyoñ kā ġham nahii. hai
ye taufīq-e-talab bhī kam nahii. hai
mohabbat naam hai ġham peshgī kā
havas us raaz kī mahram nahii. hai
ḳhamoshī bhī hai ik tarz-e-takallum
nazar kī guftugū mub.ham nahii. hai
maiñ rotā huuñ junūñ kī be-kasī par
vidā.a-e-hosh kā mātam nahii. hai
ba-juz ik ālam-e-husn-e-tahayyur
nazar meñ ab koī a.alam nahii. hai
mujhe mahrumiyon ka gham nahi hai
ye taufiq-e-talab bhi kam nahi hai
mohabbat nam hai gham peshgi ka
hawas us raaz ki mahram nahi hai
KHamoshi bhi hai ek tarz-e-takallum
nazar ki guftugu mubham nahi hai
main rota hun junun ki be-kasi par
widaa-e-hosh ka matam nahi hai
ba-juz ek aalam-e-husn-e-tahayyur
nazar mein ab koi aalam nahi hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.II (Pg. 214)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.