ishq ki rah mein jo aate hain
'ishq kī raah meñ jo aate haiñ
jor kyā kyā nahīñ uThāte haiñ
ḳhūn-e-dil haaye apnā khāte haiñ
nahii. jiite haiñ mar hī jaate haiñ
yahāñ to jī se du'ā nikaltī hai
gāliyāñ jab hameñ sunāte haiñ
merī shāyad du'ā huī maqbūl
gāliyāñ sun ke muskurāte haiñ
ham se kaahe ko hañs ke boleñge
baat pīchhe hameñ rulāte haiñ
us ke aane ke shauq meñ 'ārif
haaye mere to jī hī jaate haiñ
'ishq ki rah mein jo aate hain
jor kya kya nahin uThate hain
KHun-e-dil haye apna khate hain
nahi jite hain mar hi jate hain
yahan to ji se du'a nikalti hai
galiyan jab hamein sunate hain
meri shayad du'a hui maqbul
galiyan sun ke muskuraate hain
hum se kahe ko hans ke bolenge
baat pichhe hamein rulate hain
us ke aane ke shauq mein 'arif
haye mere to ji hi jate hain
- Book : Al-Mujeeb, Phulwari Sharif (Pg. 53)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.