Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kuchh taza sitam ab dil ke liye ijad karo to behtar hai

Aarif Tamimi

kuchh taza sitam ab dil ke liye ijad karo to behtar hai

Aarif Tamimi

MORE BYAarif Tamimi

    kuchh taaza sitam ab dil ke liye ījād kaaro to behtar hai

    ye jaur-o-jafā ḳhūgar hai be-dād kaaro to behtar hai

    is ḳhāna-e-dil ko tum ā-kar ābād karo to behtar hai

    nāshād jise sau-bār kiyā ab shaad kaaro to behtar hai

    taslīm mujhe to sab kuchh hai ilzām jo mujh par rakhte ho

    toḌe haiñ sitam jo tum ne magar vo yaad kaaro to behtar hai

    haiñ dar pe tumhāre kab se khaḌe kuchh ishq ke maare ahl-e-vafā

    ye lutf-o-karam ke tālib haiñ dil-shād karo to behtar hai

    phir dil meñ talātum ho barpā mañjdhār meñ kashtī aa jaa.e

    phir aake safīna hastī barbād kaaro to behtar hai

    ham bach ke bhalā jā.eñge kahāñ ham ko asīr-e-zulf kaaro

    is qaid-o-rasan se hāsil kyā āzād karo to behtar hai

    ye sozish aah qalb-e-hazīñ kuchh rañg yaqīnan lā.egī

    māyūs na ho tāsīr se tum fariyād karo to behtar hai

    kuchh taza sitam ab dil ke liye ijad karo to behtar hai

    ye jaur-o-jafa ka KHugar hai be-dad karo to behtar hai

    is KHana-e-dil ko tum aa-kar aabaad karo to behtar hai

    nashad jise sau-bar kiya ab shad karo to behtar hai

    taslim mujhe to sab kuchh hai ilzam jo mujh par rakhte ho

    toDe hain sitam jo tum ne magar wo yaad karo to behtar hai

    hain dar pe tumhaare kab se khaDe kuchh ishq ke mare ahl-e-wafa

    ye lutf-o-karam ke talib hain dil-shad karo to behtar hai

    phir dil mein talatum ho barpa manjdhaar mein kashti aa jae

    phir aake safina hasti ka barbaad karo to behtar hai

    hum bach ke bhala jaenge kahan hum ko asir-e-zulf karo

    is qaid-o-rasan se hasil kya aazad karo to behtar hai

    ye sozish aah qalb-e-hazin kuchh rang yaqinan laegi

    mayus na ho tasir se tum fariyaad karo to behtar hai

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 201)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now