kab kisi ka koi duniya mein raha hai yaro
kab kisī kā koī duniyā meñ rahā hai yaaro
kaun sāthī mirā vahshat ke sivā hai yaaro
dard ban kar jo rag-o-pai meñ basā hai yaaro
mā-sivā us ke nahii. koī ḳhudā hai yaaro
badlī badlī sī gulistāñ kī fazā hai yaaro
koī ġhuncha hai chaman meñ na sabā hai yaaro
dard phir dil meñ mare had se sivā hai yaaro
ḳhuun gulshan meñ kisī gul kā huā hai yaaro
koī tūfān sar-e-rāh guzar ā-pahuñchā
yā mire dil ke dhaḌakne kī sadā hai yaaro
be-niyāzāna barābar se guzar jaate ho
ye bhī kyā koī mohabbat kī adā hai yaaro
bāñdh kar sar se kafan jānib-e-maqtal maiñ chalā
ik sitamgar ne mujhe yaad kiyā hai yaaro
kaun aayā hai tasavvur meñ qiyāmat lekar
dil meñ mahshar sā mire ek bapā hai yaaro
un ko dekhā hai mohabbat kī nazar se maiñ ne
huuñ ḳhatāvār yahī merī ḳhatā hai yaaro
kab kisi ka koi duniya mein raha hai yaro
kaun sathi mera wahshat ke siwa hai yaro
dard ban kar jo rag-o-pai mein basa hai yaro
ma-siwa us ke nahi koi KHuda hai yaro
badli badli si gulistan ki faza hai yaro
koi ghuncha hai chaman mein na saba hai yaro
dard phir dil mein mare had se siwa hai yaro
KHun gulshan mein kisi gul ka hua hai yaro
koi tufan sar-e-rah guzar aa-pahuncha
ya mere dil ke dhaDakne ki sada hai yaro
be-niyazana barabar se guzar jate ho
ye bhi kya koi mohabbat ki ada hai yaro
bandh kar sar se kafan jaanib-e-maqtal main chala
ek sitamgar ne mujhe yaad kiya hai yaro
kaun aaya hai tasawwur mein qiyamat lekar
dil mein mahshar sa mere ek bapa hai yaro
un ko dekha hai mohabbat ki nazar se main ne
hun KHatawar yahi meri KHata hai yaro
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 201)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.