phir na paoge mohabbat ka maza mere baad
phir na pāoge mohabbat kā mazā mere ba.ad
haaye uTh jā.egī duniyā se vafā mere ba.ad
sun sakoge na kabhī āh-o-bukā mere ba.ad
Duub jā.egā ye sailāb mere ba.ad
paañv rakhegā sar ḳhaar na vahshī koī
ḳhaak chāTegī bayābāñ kī havā mere ba.ad
phir na aa.egī kisī dil pe qiyāmat aisī
maut kī god meñ so.egī fanā mere ba.ad
kaun sīñchegā use ḳhūn-e-jigar se apne
rañg kyā degī bhalā barg-e-hinā mere ba.ad
hama-tan gosh banā kaun yahāñ baiThegā
kis ko paiġhām sunā.egī sabā mere ba.ad
kaun vahshat meñ nikal jā.egā sahrā sahrā
thak ke dam toḌ na deñ ābla-pā mere ba.ad
nok har ḳhaar pe taḌpegā na vahshī koī
ḳhūn-e-dil ro.egī sahrā kī fazā mere ba.ad
ġham na hogā na alam hogā na andāz-e-sitam
aa.egī haaye mohabbat kī sadā mere ba.ad
ba.ad marne ke vo karte haiñ tamannā merī
kar rahe haiñ vo jiine kī duā mere ba.ad
chand aañsū vo bahā.enge yaqīnan 'ārif'
mil hī jā.egā vafāoñ kā silā mere ba.ad
phir na paoge mohabbat ka maza mere baad
haye uTh jaegi duniya se wafa mere baad
sun sakoge na kabhi aah-o-buka mere baad
Dub jaega ye sailab mere baad
panw rakhega sar KHar na wahshi koi
KHak chaTegi bayaban ki hawa mere baad
phir na aaegi kisi dil pe qiyamat aisi
maut ki god mein soegi fana mere baad
kaun sinchega use KHun-e-jigar se apne
rang kya degi bhala barg-e-hina mere baad
hama-tan gosh bana kaun yahan baiThega
kis ko paigham sunaegi saba mere baad
kaun wahshat mein nikal jaega sahra sahra
thak ke dam toD na den aabla-pa mere baad
nok har KHar pe taDpega na wahshi koi
KHun-e-dil roegi sahra ki faza mere baad
gham na hoga na alam hoga na andaz-e-sitam
aaegi haye mohabbat ki sada mere baad
baad marne ke wo karte hain tamanna meri
kar rahe hain wo jine ki dua mere baad
chand aansu wo bahaenge yaqinan 'arif'
mil hi jaega wafaon ka sila mere baad
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 201)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.