Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tere to Dhang hain yahi apna bana ke chhoD de

Aarzu Lakhnavi

tere to Dhang hain yahi apna bana ke chhoD de

Aarzu Lakhnavi

MORE BYAarzu Lakhnavi

    tere to Dhañg haiñ yahī apnā banā ke chhoḌ de

    vo bhī baḌā hai bāvlā tujh ko jo ke chhoḌ de

    aap lagī meñ jo phuñke khel ye us ke ke saath

    jaltā huā kañval koī jaise uThā ke chhoḌ de

    beḌā ho paar kyā bhalā bāñdhā hai us se aasrā

    khol ke naav le chale dhāre pe ke chhoḌ de

    tere liye to kuchh nahīñ mere liye bahut hai ye

    haath se haath thaam le apnā banā ke chhoḌ de

    us ne lubhā ke 'ārzū' badlī hai mujh se aañkh yuuñ

    jaise koī chhiḌak ke tel aag lagā ke chhoḌ de

    tere to Dhang hain yahi apna bana ke chhoD de

    wo bhi baDa hai bawla tujh ko jo pa ke chhoD de

    aap lagi mein jo phunke khel ye us ke ji ke sath

    jalta hua kanwal koi jaise uTha ke chhoD de

    beDa ho par kya bhala bandha hai us se aasra

    khol ke naw le chale dhaare pe la ke chhoD de

    tere liye to kuchh nahin mere liye bahut hai ye

    hath se hath tham le apna bana ke chhoD de

    us ne lubha ke 'arzu' badli hai mujh se aankh yun

    jaise koi chhiDak ke tel aag laga ke chhoD de

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now