Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye kis Dhab se aankh uski ji par paDi hai

Aarzu Lakhnavi

ye kis Dhab se aankh uski ji par paDi hai

Aarzu Lakhnavi

MORE BYAarzu Lakhnavi

    ye kis Dhab se aañkh us par paḌī hai

    nikaltī nahīñ phāñs aisī gaḌhī hai

    barābar hai chheḌ milnā na milnā

    kaThin hai hamāre liye jo ghaḌī hai

    milī aañkh māthe se Tapkā pasīnā

    ye chāhat ke sāvan pahlī jhaḌī hai

    hilā.e koī hoñT kyā us ke aage

    chhurī taane chitvan to sar par khaḌī hai

    na.e ruup bhartā hai chāhat maalā

    jo rakkho to guchchā uThā lo laḌī hai

    jahāñ apne bas ho tinkā tinkā

    kahīñ raaj se baḌh ke vo jhoñpaḌī hai

    ye kis kis ko us lagāvaT ne maarā

    jidhar dekhiye ek piTTas paḌī hai

    sulajh na jab tak tire chap gutthī

    kaleje meñ saañs aate jaate aḌī hai

    achānak taḌap kyuuñ baḌhī ab meñ samjhā

    ulaT kar mirī haaye mujh par paḌī hai

    batā degī bhed 'ārzū' niiñd uḌ kar

    ki jo raat chhoTī thī ab kyuuñ baḌī hai

    ye kis Dhab se aankh us ki ji par paDi hai

    nikalti nahin phans aisi gaDhi hai

    barabar ki hai chheD milna na milna

    kaThin hai hamare liye jo ghaDi hai

    mili aankh mathe se Tapka pasina

    ye chahat ke sawan ki pahli jhaDi hai

    hilae koi honT kya us ke aage

    chhuri tane chitwan to sar par khaDi hai

    nae rup bharta hai chahat ka mala

    jo rakkho to guchcha uTha lo laDi hai

    jahan apne hi bas ka ho tinka tinka

    kahin raj se baDh ke wo jhonpaDi hai

    ye kis kis ko us ki lagawaT ne mara

    jidhar dekhiye ek piTTas paDi hai

    sulajh li na jab tak tere chap ki gutthi

    kaleje mein sans aate jate aDi hai

    achanak taDap kyun baDhi ab mein samjha

    ulaT kar meri haye mujh par paDi hai

    bata degi bhed 'arzu' nind uD kar

    ki jo raat chhoTi thi ab kyun baDi hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now